aap jaison ke liye is mein rakha kuchh bhi nahin lekin aisa to na kahiye ki wafa kuchh bhi nahin aap kahiye to nibhate chale jaenge magar is talluq mein aziyyat ke siwa kuchh bhi nahin main kisi tarah bhi samjhauta nahin kar sakta ya to sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin kaise jaana hai kahan jaana hai kyun jaana hai hum ki chalte chale jate hain pata kuchh bhi nahin hae is shahr ki raunaq ke main sadqe jaun aisi bharpur hai jaise ki hua kuchh bhi nahin phir koi taza sukhan dil mein jagah karta hai jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhun man leta hun ki us shakhs mein tha kuchh bhi nahin main ne duniya se alag rah ke bhi dekha 'jawwad' aisi munh-zor udasi ki dawa kuchh bhi nahin