aap kahte hain nahin milte dil afsane mein phir se hum aa hi gae aap ke bahlane mein wo baras bit gaya jis mein tumhein paya tha umr guzregi ise barha dohrane mein phul par ek mahakti hui titli dekhi kya tumhein chhu liya us ne kahin anjaane mein shart-e-maujudgi darkar nahin ulfat ko waqt zaea na kar aane mein aur jaane mein har nafas tum hi ho har samt tumhaare jalwe lutf itna na tha ai yar tujhe pane mein chand ko jhil ke pani mein utara lekin aag pani mein laga baithe hain anjaane mein ishq par zor nahin phir bhi lage rahte hain hum kabhi khud ko kabhi aap ko samjhane mein