aap ke zauq-e-sitam ka gham nahin

By ustad-azmat-hussain-khanJanuary 5, 2024
aap ke zauq-e-sitam ka gham nahin
han magar ab zindagi mein dam nahin
ai jafa-e-dost ye bhi kam nahin
dard ab bhi hai magar ab gham nahin


is mein padh leta hun tafsir-e-hayat
ye mera dil hai ye jam-e-jam nahin
aadmi ki khud-farebi al-aman
aur apne dukh bhi ab mahram nahin


in mein shamil hai mere dil ki tapish
ashk hain ye qatra-e-shabnam nahin
tark-e-mai se aur bhi aaya surur
hosh bhi madhoshiyon se kam nahin


'maikash' un ki nargisi aankhon ka war
kitna qatil hai agarche sam nahin
29477 viewsghazalEnglish