aap ki aankh se gahra hai meri ruh ka zakhm aap kya soch sakenge meri tanhai ko main to dam tod raha tha magar afsurda hayat khud chali aai meri hausla-afzai ko lazzat-e-gham ke siwa teri nigahon ke baghair kaun samjha hai mere zakhm ki gahrai ko main badhaunga teri shohrat-e-khush-bu ka nikhaar tu dua de mere afsana-e-ruswai ko wo to yun kahiye ki ek qaus-e-quzah phail gai warna main bhul gaya tha teri angdai ko