aap ki hasti mein hi mastur ho jata hun main jab qarib aate ho khud se dur ho jata hun main dar par chadh kar kabhi mansur ho jata hun main tur par ja kar kalim-e-tur ho jata hun main yun kisi se apne gham ki dastan kahta nahin puchhte hain wo to phir majbur ho jata hun main apni fitrat kya kahun apni tabiat kya kahun? dusron ke gham mein bhi ranjur ho jata hun main mujh ko 'atish' baada-o-saghar se ho kya wasta? un ki aankhen dekh kar makhmur ho jata hun main