aap ki tawajjoh se dil ne zindagi pai

By nudrat-inquilabiJanuary 4, 2024
aap ki tawajjoh se dil ne zindagi pai
aap hi ko zeba hai da’wa-e-masihai
aap ke taghaful ne rah kitni dikhlai
aap bhi nahin aae nind bhi nahin aai


kis maqam par mera zauq-e-did aaya hai
khud hi main tamasha hun khud hi main tamashai
kaun jaane kab hoga faisla mohabbat ka
kab talak rahe koi aap ka tamannai


sakht hai zamin lekin she'r kah gaya 'nudrat'
gul khila gai kya kya us ki khama-farsai
36972 viewsghazalEnglish