aapko aise na khona tha hamein
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
aap ko aise na khona tha hamein
thoda duniya-dar hona tha hamein
haal par hanste the jin ke aaj tak
ab unhin ke sath rona tha hamein
qabr bhi us ki kahin baqi na thi
jis ki bimari ko dhona tha hamein
khud-kushi karne to hum aae na the
phir yahan kis ko dubona tha hamein
ye koi itni badi khwahish na thi
der tak ek roz sona tha hamein
be-sabab us ko bahana de diya
waqt se tayyar hona tha hamein
aap ke nakhron ko bhi dena tha waqt
aur zamane ka bhi hona tha hamein
tu gaya to rah gaya wo dagh bhi
wo jise mil-jul ke dhona tha hamein
thoda duniya-dar hona tha hamein
haal par hanste the jin ke aaj tak
ab unhin ke sath rona tha hamein
qabr bhi us ki kahin baqi na thi
jis ki bimari ko dhona tha hamein
khud-kushi karne to hum aae na the
phir yahan kis ko dubona tha hamein
ye koi itni badi khwahish na thi
der tak ek roz sona tha hamein
be-sabab us ko bahana de diya
waqt se tayyar hona tha hamein
aap ke nakhron ko bhi dena tha waqt
aur zamane ka bhi hona tha hamein
tu gaya to rah gaya wo dagh bhi
wo jise mil-jul ke dhona tha hamein
91895 viewsghazal • English