aap ko gardish-e-ayyam se dar lagta hai aur hamein ishq ke anjam se dar lagta hai chashm-e-saqi ke ishaare mein nihan kya shai thi hasrat-e-baada-e-gulfam se dar lagta hai zer-e-lab un ke tabassum se sukun mang to lun apni hi jurat-e-nakaam se dar lagta hai nam jo aath-pahr wird-e-zaban rahta tha ab ye wahshat hai usi nam se dar lagta hai hazrat-e-khizar se thi rahbari ki khwahish ab usi khwahish-e-nakaam se dar lagta hai manzilen ishq ki be-khauf-o-khatar tai kin hain ab ye aalam hai ki har gam se dar lagta hai kyun wazifa sahar-o-sham kiya tark 'safir' kyun khyal-e-sahr-o-sham se dar lagta hai