aap ne aaj ye mahfil jo sajai hui hai baat us ki hi faqat bazm mein chhai hui hai is qadar naz na kije ki buzurgon ne bahut barha bazm-e-khud-arai sajai hui hai is qadar shor hai kyun surkhi-e-akhbar pe aaj jabki malum hai har baat banai hui hai aaj to chain se rone do mujhe goshe mein ek muddat pe gham-e-dil se judai hui hai sharm mat kijiye le lije sahaara mera mat hum ne bhi bahut aap se khai hui hai aaj hum kyun na kahen mohr-ba-lab kyun rah jaen mai-kade mein badi mushkil se rasai hui hai aaj be-fikr bahut hain ki koi bar nahin sarf arbab pe sab din ki kamai hui hai fakhr zeba hai ki muddat pe kahin ja ke meri ab talabgar khuda ki ye khudai hui hai