aarzu-e-dawam karta hun

By aslam-kolsariiOctober 27, 2020
aarzu-e-dawam karta hun
zindagi waqf-e-am karta hun
aap se ikhtilaf hai lekin
aap ka ehtiram karta hun


mujh ko taqrib se talluq kya
main faqat ehtimam karta hun
dars-o-tadris ishq mazduri
jo bhi mil jae kaam karta hun


justuju hi mera asasa hai
ja ise tere nam karta hun
han magar barg-e-zard ki surat
subh ko main bhi sham karta hun


waqt guzre pe aae ho 'aslam'
khair kuchh intizam karta hun
44589 viewsghazalEnglish