aarzu kab hai teri anjuman-arai ki

By nazar-jalanviJanuary 22, 2022
aarzu kab hai teri anjuman-arai ki
dosti ras mujhe aai hai tanhai ki
kaun hai badh ke bujhae jo sulagte ghar ko
aankh rakhti hai ye duniya to tamashai ki


sunne wala nahin mazlum ke dil ki chikhen
gunj hai aaj tere shahr mein shahnai ki
rang is gulshan-e-alam ka yahan tak badla
ud gai bu-e-wafa bhai se ab bhai ki


rabt-e-ulfat na badha had se ziyaada nadan
aage naubat kahin aa jae na ruswai ki
fan ka khud aaina fankar hua karta hai
kya zarurat hai taaruf ki shanasai ki


khud ko dana bhi samajhna hai 'nazar' nadani
aajizi asl mein pahchan hai danai ki
85918 viewsghazalEnglish