aarzuen hazar rakhte hain

By meer-taqi-meerMarch 18, 2024
aarzuen hazar rakhte hain
to bhi hum dil ko mar rakhte hain
barq kam-hausla hai hum bhi to
dilak-e-be-qarar rakhte hain


ghair hi maurid-e-inayat hai
hum bhi to tum se pyar rakhte hain
na nigah ne payam ne wada
nam ko hum bhi yar rakhte hain


hum se khush-zamzama kahan yun to
lab o lahja hazar rakhte hain
chotte dil ke hain butan mashhur
bas yahi e'tibar rakhte hain


phir bhi karte hain 'mir' sahab ishq
hain jawan ikhtiyar rakhte hain
97425 viewsghazalEnglish