aarzuon ke samundar se nikal kar aae

By wasim-nadirJanuary 5, 2024
aarzuon ke samundar se nikal kar aae
aisa lagta hai ki hum aag mein jal kar aae
dil ke sahra ko sulagte hue muddat guzri
koi sailab bhi aae to sanbhal kar aae


wo agar khwab hai aankhon mein rahe behtar hai
aur haqiqat hai to aankhon se nikal kar aae
hum ko haalat ne sharminda kiya is had tak
barha apne hi ghar bhes badal kar aae


'aql kahti hai tujhe tah mein utarna hoga
dil ye kahta hai guhar aap uchhal kar aae
52146 viewsghazalEnglish