aas jis ki jawan hoti hai us ki unchi udan hoti hai jo qalam aabid-e-adab thahra us ki hi aan-ban hoti hai tir lagta hai dil ke thik upar jab nazar mein kaman hoti hai rang taqdir ka badal jae jab wafa mehrban hoti hai yaad aati hai jis ghadi us ki wo ghadi imtihan hoti hai bin kahe bin sune ye dil samjhe baat jo darmiyan hoti hai bad-nasibi sukun se soe jab sawere azan hoti hai hai buland us ka parcham-e-qismat jis pe tu mehrban hoti hai wo hi chhute hain aasman 'panchhi' jin paron mein bhi jaan hoti hai