aasan raston mein aise bhi jaan ke lale pad jate hain chalte chalte apne juton se bhi chhaale pad jate hain us ki aas mein jagti aankhen aakhir kali kyon na padengi jalte jalte raat ki raat charagh bhi kale pad jate hain gham ki dahshat-gardi mein bhi dil ko khole rakkha hum ne warna is mahaul mein shahron shahron tale pad jate hain shab ke kale daman mein jyun chand sitare aan pade hain man ki maili jholi mein bhi aise ujale pad jate hain kitni bhi pyari ho har ek shai se ji ukta jata hai waqt ke sath to chamkile zewar bhi kale pad jate hain dil mitti ka ghar hi sahi par roz safai karna 'alam' saf na hon to kanch ke mahlon mein bhi jale pad jate hain