aashiqi mein hum ko ab tak mar khana yaad hai

By masroor-shahjahanpuriSeptember 20, 2021
aashiqi mein hum ko ab tak mar khana yaad hai
jism par chuna kabhi haldi lagana yaad hai
ishq mein un ke pite the hum jahan pahle pahal
muddaten guzrin par ab tak wo thikana yaad hai


tin din tak khauf ke mare chhupe the jis jagah
us jagah banne ko tha ek ghusl-khana yaad hai
pahle aa ke un ke daddy ne bhanbhoda tha hamein
aur phir kutte ka hum ko kat khana yaad hai


un ki ammi ho chalin thin rafta rafta ham-khayal
han magar abba ka un ke warghalana yaad hai
tak kar gilla chalaya tha jo un ki aankh par
un ke abba ko mera ab tak nishana yaad hai


sharbat-e-didar ki thin chuskiyan sab ke liye
band tha 'masrur' par hi aab-o-dana yaad hai
28557 viewsghazalEnglish