aashiyan tha hum se hum the aashiyane ke liye roiye kya ab qafas mein is zamane ke liye kar-farma hain niyaz-e-ishq ki majburiyan sajde le kar main chala tha aastane ke liye kashmakash mein hai hayat-o-maut ki jaan-e-hazin aap aa jaen zara qissa chukane ke liye koi hota hai kharidar-e-mataa-e-ahl-e-dil daulat-e-darain late hain lutane ke liye ho qafas ki tiliyon par bhi nigah-e-lutf-e-barq kya nasheman hi ke tinke the jalane ke liye