aashna ho kar taghaful aashna kyun ho gae ba-wafa the tum to aakhir bewafa kyun ho gae aur bhi rahte abhi kuchh din nazar ke samne dekhte hi dekhte hum se khafa kyun ho gae in wafadari ke wadon ko ilahi kya hua wo wafaen karne wale bewafa kyun ho gae kis tarah dil se bhula baithe hamari yaad ko is tarah pardes ja kar bewafa kyun ho gae tum to kahte the ki hum tujh ko na bhulenge kabhi bhul kar hum ko taghaful aashna kyun ho gae hum tumhaara dard-e-dil sun sun ke hanste the kabhi aaj rote hain ki yun dard-ashna kyun ho gae chand ke tukde bhi nazron mein sama sakte nahin kya bataen hum tere dar ke gada kyun ho gae ye jawani ye ghataen ye hawaen ye bahaar hazrat-e-'akhtar' abhi se parsa kyun ho gae