aashna kab ho hai ye zikr dil-e-shad ke sath lab ko nisbat hai mere zamzama-e-dad ke sath bas ki hai chashm-e-murawwat se bhara girya-zar pada phirta hai mere nala-o-fariyaad ke sath yaad us lutf-e-huzuri ka karen kya hasil aa pada kaam faqat ab to teri yaad ke sath zulm hai haq mein hamare tera ab tark-e-sitam dil ko hai uns sa ek us teri bedad ke sath zulf o kakul se qawi husn ka bazu hai mudam qafas o dam rahe jaise ki sayyaad ke sath khun-e-nahaq raha parwez ki gardan pe wale lutf-e-shirin ne sitam ye kiya farhad ke sath rasti se bhala itna bhi guzarna kya hai nisbat is qad ko na do sarw ke shamshad ke sath dast o pa kar ke main gum nikla dabe-panw kya mila wo tifl mujhe raat jo ustad ke sath 'hasrat' itna jo tu mail hai giraftari ka kuchh adawat hai tujhe khatir-e-azad ke sath