aashob-e-husn ki bhi koi dastan rahe mitne ko yun miten ki abad tak nishan rahe tauf-e-haram mein ya sar-e-ku-e-butan rahe ek barq-e-iztirab rahe hum jahan rahe un ki tajalliyon ka bhi koi nishan rahe har zarra meri khak ka aatish-ba-jaan rahe kya kya hain dard-e-ishq ki fitna-taraaziyan hum iltifat-e-khas se bhi bad-guman rahe mere sarishk-e-khun mein hai rangini-e-hayat ya rab faza-e-husn abad tak jawan rahe main raazdar-e-husn hun tum raazdar-e-ishq lekin ye imtiyaz bhi kyun darmiyan rahe