aasman ishq ki azmat ke siwa bhi kuchh hai kya ye sahra meri wahshat ke sawa bhi kuchh hai mund lun aankh to be-kar hai sab rang-e-jahan kya meri chashm-e-inayat ke siwa bhi kuchh hai kuchh to hai jis ke batane se hun qasir lekin ab tere dard mein lazzat ke siwa bhi kuchh hai meri aaankhon se koi us ka sarapa dekhe tab khulega ki qayamat ke siwa bhi kuchh hai har talluq kisi qimat ka talab-gar nahin dil ke saude mein tijarat ke siwa bhi kuchh hai han wo ek lamha ki haq-goi pe gardan kat jae yani ta-umr ibaadat ke siwa bhi kuchh hai husn sab husn-e-tabiat pe hai mauquf 'nadim' ya kahin husn-e-tabiat ke siwa bhi kuchh hai