aasman khol diya pairon mein rahen rakh din phir nasheman pe usi shakhs ne shakhen rakh din jab koi fikr jabin par hui raqsan main ne khwab aankhon mein rakhe aankhon pe palken rakh din darmiyan khamushi pahle to na aai thi magar baaton baaton mein hi us ne kai baaten rakh din us ne jab tod diye sare talluq mujh se khinch kar sine se phir main ne bhi sansen rakh din meri tanhai se tang aa ke mere hi ghar ne aaj thak-haar ke dahliz pe aankhen rakh din