aasman ki qadimi kaman-gah se jab sitaron mein chhoDi gai raushni
By abid-razaFebruary 17, 2025
aasman ki qadimi kaman-gah se jab sitaron mein chhodi gai raushni
kahkashaon se ek qaus khinchi gai chashm-e-hairan se jodi gai raushni
sham-e-furqat mein shahnai bajti rahi ek budhiya ne dhunda bahut chand ko
jis ghadi shab ki dulhan ne ghunghat bhara aankh se bhi nigodi gai raushni
dasht-e-imkan ke gadle ufuq par kahin abr-o-baran se khurshid ladta raha
aakhirash ek qatre ke manshur se sat rangon mein todi gai raushni
chah-e-tarik ka hadsati ufuq dast-e-qudrat se zahir hua samne
manzilen marti thi khala mein kahin raste hi se modi gai raushni
nur tha ya mulamma chadha tha koi shahr chaaron taraf jagmagata raha
meri andhi andheri gali mein magar sab kahan thodi thodi gai raushni

26154 viewsghazal • English