aasmanon se ja mila hun main
By syed-masood-naqviJanuary 5, 2024
aasmanon se ja mila hun main
aao dafna do mar chuka hun main
ghaur se dekhiye meri wahshat
sae sae se dar raha hun main
zindagi ab mujhe ijazat de
dekh jine ko mar raha hun main
hansta rahta hun ek umid pe main
aise hansne pe ro raha hun main
kaise jitega ye jahan mujh se
dar se aage ka marhala hun main
daud le jitna daud sakti hai
zindagi aakhiri waba hun main
sari samton ki dekh kar haalat
ek nai samt chal pada hun main
thak gaya sunte sunte maut ka shor
is liye khul ke ji raha hun main
is qadar dar hai tum ko khone ka
tum ko pane se dar raha hun main
aao dafna do mar chuka hun main
ghaur se dekhiye meri wahshat
sae sae se dar raha hun main
zindagi ab mujhe ijazat de
dekh jine ko mar raha hun main
hansta rahta hun ek umid pe main
aise hansne pe ro raha hun main
kaise jitega ye jahan mujh se
dar se aage ka marhala hun main
daud le jitna daud sakti hai
zindagi aakhiri waba hun main
sari samton ki dekh kar haalat
ek nai samt chal pada hun main
thak gaya sunte sunte maut ka shor
is liye khul ke ji raha hun main
is qadar dar hai tum ko khone ka
tum ko pane se dar raha hun main
62931 viewsghazal • English