aastinon mein koi KHanjar nahin

By adil-hayatJune 15, 2022
aastinon mein koi khanjar nahin
amn ka phir bhi yahan manzar nahin
apne wirse ki sadaqat chahiye
khun mein duba hua manzar nahin


zindagi main ne guzari hai jahan
bhed ab ja kar khula wo ghar nahin
dushman-e-jaan hai to bas meri ana
dushmanan-e-waqt ka lashkar nahin


gar yaqin ki mashalen hathon mein hon
raat ki tarikiyon se dar nahin
dosti mein hijr to manzur hai
dosti ke nam par khanjar nahin


log gunge ho gae 'adil-hayat'
ruh jaise jism ke andar nahin
11422 viewsghazalEnglish