aaThon pahar ka ye tera mazdur aa gaya
By nomaan-shauqueFebruary 27, 2024
aathon pahar ka ye tera mazdur aa gaya
jannat ke dwar khol meri hur aa gaya
paighambari ka da'wa nahin 'ashiqi ka hai
patthar na mariye jo sar-e-tur aa gaya
sab ne suni jo raat ki lalkar dar gae
sina tha jis ka nur se ma'mur aa gaya
aaghosh us ki aisi purani sharab thi
nashshe mein khwahishon ke bahut dur aa gaya
basta uthaiye ki ye maktab nahin hai wo
basti badal gai naya dastur aa gaya
kya chahiye ghulam ko bas ek nazar ki bhik
sharten tamam aap ki manzur aa gaya
jannat ke dwar khol meri hur aa gaya
paighambari ka da'wa nahin 'ashiqi ka hai
patthar na mariye jo sar-e-tur aa gaya
sab ne suni jo raat ki lalkar dar gae
sina tha jis ka nur se ma'mur aa gaya
aaghosh us ki aisi purani sharab thi
nashshe mein khwahishon ke bahut dur aa gaya
basta uthaiye ki ye maktab nahin hai wo
basti badal gai naya dastur aa gaya
kya chahiye ghulam ko bas ek nazar ki bhik
sharten tamam aap ki manzur aa gaya
83030 viewsghazal • English