aati hai zindagi mein KHizan bhi bahaar bhi

By jami-rudaulviNovember 2, 2020
aati hai zindagi mein khizan bhi bahaar bhi
sehn-e-chaman mein phul bhi hote hain khar bhi
naraazgi na ho to mohabbat hai be-maza
hasti khushi bhi gham bhi hai nafrat bhi pyar bhi


be-e'tinaiyon mein bhi hai chashni ka lutf
hota hai iltifat kabhi nagawar bhi
chhoda na khauf-e-hijr ne daman tamam raat
aaghosh-e-pur-sukun mein tha dil be-qarar bhi


arman ka khun samaj ki talwar ne kiya
majbur maslahat se hua ikhtiyar bhi
mehnat ki sakht dhup mein pipal ki chhanw mein
hai dasht-e-gham mein abr-e-karam ki phuwar bhi


har-chand be-daregh baha khun-e-arzu
lekin hua hai daman-e-dil lala-zar bhi
ganjina-e-sifat hai us ki har ek baat
surat bhi guftugu bhi ada bhi shiar bhi


angur ke ye bagh lab-e-ju ye chahchahe
hoga yahin kahin pe hamara mazar bhi
'jami' pe kya banegi khuda jaane hashr mein
jannat ki aarzu hai gunahon se pyar bhi


52209 viewsghazalEnglish