aati na agar kaam mere dar-ba-dari bhi

By ali-tasifJune 3, 2024
aati na agar kaam mere dar-ba-dari bhi
main tark na kar deta wahin ham-safari bhi
hairan hun duniya ke talab-garon pe kya kya
bhati hai bhala kis ko niri dard-e-sari bhi


nairangi-e-duniya ki khabar khak ki mujh ko
khali hi nazar aati hai botal ye bhari bhi
kya ab bhi meri aah sar-e-'arsh na pahunchi
kya phir se gai sath wahi be-asari bhi


ek main hi khabar-gir nahin haalat-e-dil ka
halkan to rahti hai bahut be-khabari bhi
phir ja ke kahin zakhm gina zakhm barabar
aamada hui dad pe jab bakhiya-gari bhi


haalanki malangon ki tarah zist guzari
aaseb ka saya bhi raha bad-nazari bhi
suljhi hi nahin ramz-o-kinayat ki ghutthi
aati hai nazar khwab mein khushki bhi tari bhi


masjud-e-malaik to yaqinan tha abhi tak
insan mein hoti na agar jaanwari bhi
kya ye bhi koi baat hai 'tasif' ki hamesha
le jae junun sath laga kar wo pari bhi


88461 viewsghazalEnglish