aatish-e-ishq mein kya kya nahin jalte dekha dil to kya chiz hai lohe ko pighalte dekha qadr-e-duniya-e-do-roza hai fana hone se barg-rezi ko isi bagh mein phalte dekha roz-e-mahshar ki daraazi ki qasam deta hun kah to de koi ki din hijr ka dhalte dekha ku-e-qatil mein ye pakwan hai ye khana hai bhunte dekhe jigar hathon ko talte dekha hijr-e-jaanan mein kahin jine se marna behtar zindagani ke maze ko yahin khalte dekha parwarish teri hai mahi-o-samundar se inan koi pani mein koi aag mein palte dekha chaukdi bhul gae mere hawas-e-khamsa us ki bagghi ko sadak par jo nikalte dekha misl-e-auraq-e-shajar ranj-e-khizan mein ai 'rashk' jis ko dekha kaf-e-afsos hi malte dekha