aawara bu-e-gul ki tarah hain chaman se dur
By raees-warsiMay 5, 2021
aawara bu-e-gul ki tarah hain chaman se dur
laghzida-pa nahin hain magar hum watan se dur
tarik raston mein bichhate hain raushni
aise bhi kuchh charagh jale anjuman se dur
jis ne nasim-e-subh ko bakhshi hai tazgi
khushbu wo kis qadar hai pareshan chaman se dur
wo log jin ka khun hai rang-e-bahaar mein
rakkha gaya hai un ko hi sehn-e-chaman se dur
sang-e-asas hone ke ehsas ne hamein
ab tak rakha hai lazzat-e-tashhir-e-fan se dur
ab us ko kya kahen wahi fankar-e-waqt hai
jo shakhs asr-e-nau mein hai meyar-e-fan se dur

36531 viewsghazal • English