aawargan-e-ishq ko is ki khabar kahan hoti hai un ko sham kahan aur sahar kahan aaya abhi hai ashkon mein khun-e-jigar kahan puri hui murad teri chashm-e-tar kahan kaba kahan hai dair kahan ye khabar kahan le jae mujh ko dekhiye ab rahbar kahan anjam-e-ishq par hai hamari nazar kahan lale padenge jaan ke ye thi khabar kahan sajde ki ja hain dair-o-haram aastan-e-yar ab itna dekhna hai ki jhukta hai sar kahan aaegi laut kar shab-e-ishrat na phir kabhi ye lutf raat-bhar ka hai waqt-e-sahar kahan saqi tahi na jam de behosh main nahin pine ko main ne pi hai magar is qadar kahan hairat se dekhta hun haram ko main bar bar lai teri talash mujhe khinch kar kahan kahe ko aap aae the rindon mein shaikh ji ab be-piye janab yahan hai mafar kahan ai gham-nasib dil tujhe taskin kya main dun ye raat hai firaq ki is ki sahar kahan khana-kharab ho gae ulfat mein jin ki hum ab puchhte wahi hain tumhaara hai ghar kahan bahlae tujh ko kaun mere be-qarar dil rahta hun apne hosh mein do do pahar kahan pas-e-adab se tum se kahun kya main ai kalim behosh aise hote hain ahl-e-nazar kahan main to har ek shart mohabbat ki man lun qaem rahenge aap kisi baat par kahan kahiye wo waqt kya hua dhalne lagi hai dhup ab wo shabab-o-husn ki hai dopahar kahan waiz hai do ghadi ka faqat shaghl-e-mai-kashi milti hai mujh ko pine ko aathon pahar kahan dil bhi hai zad pe aur jigar bhi hai samne padte hain aa ke dekhiye tir-e-nazar kahan baqi nigah-e-yar ne rakkha hai kya yahan dhundle se kuchh nishan hain qalb-o-jigar kahan rukhsat shabab kya hua aandhi utar gai wo josh wo kharosh wo ab shor-o-shar kahan soz-e-darun ka haal main kaise bayan karun mere baja hawas hain ai chaaragar kahan taqdir ke siwa ise sayyaad kya kahen kholi kahan thi aankh rahe umr-bhar kahan muddat hui hai tur pe chhai hai khamushi jalwe wo ab kahan hain wo ahl-e-nazar kahan ye dair ye haram hai ye hai aastan-e-yar ai dil hai kya salah jhukaun main sar kahan din mein hai dilkashi na maza koi raat mein 'ishrat' wo ab shabab ke sham-o-sahar kahan