aaya nahin jo kar kar iqrar hanste hanste jul de gaya hai shayad ayyar hanste hanste itna na hans dil us se aisa na ho ki chanchal ladne ko tujh se howe tayar hanste hanste le kar sarih dil ko wo gul-izar yaro zahir kare hai kya kya inkar hanste hanste hans hans ke chhed us ko zinhaar tu na ai dil hoga gale ka tere ye haar hanste hanste hansne ki aan dikhla leta hai dil ko gul-ru karta hai shokh yaro be-kar hanste hanste jhunjhla ke haal dil ka kahna nahin rawa hai laeq yahan to karna inkar hanste hanste dastar surkh saj kar turra zari ka rakh kar aaya jo dil ko lene dildar hanste hanste aankhen lada ke us ne hans kar nigah ki aisi jo le gaya dil aakhir khunkhar hanste hanste aaya hai dekhne ko tere 'nazir' ai gul dikhla de tuk tu us ko didar hanste hanste