aayat hijr ki bayan tafsir ki nahin

By imran-mahmood-maniJune 21, 2021
aayat hijr ki bayan tafsir ki nahin
dil par guzarti jo bhi wo tahrir ki nahin
koi to bhed hoga khamoshi ke aas-pas
jalti hui nigah ne taqrir ki nahin


dastak tere jamal ne jab bhi zehn pe di
uth kar gale laga liya takhir ki nahin
tujh ko rakha sanbhaal ke putli ke darmiyan
ojhal kabhi nigah se taswir ki nahin


main to tumhaari qaid mein jita hun raat-din
dhili kabhi khayal ne zanjir ki nahin
dil mein rakha tujhe jo to puja hai apna aap
phir main ne apni zat ki tahqir ki nahin


teri jafa ki bakhshi nishani sanbhaal li
mitte hue wajud ki tamir ki nahin
dekha jo pura khwab adhura hi rah gaya
main ne bhi phir ayan kabhi tabir ki nahin


wahid wajud tere se raushan hai mera dil
tujh bin kisi ko chahun ye taqsir ki nahin
77297 viewsghazalEnglish