aazmane zist ki jab talkhiyan aa jaengi ru-ba-ru sari hamari khamiyan aa jaengi shart ye hai aap ke hathon sajaen gul-dan mein phul kaghaz ke bhi hon to titliyan aa jaengi be-zaban rahne ka sara lutf hi kho jaega zad mein aawazon ke jab khamoshiyan aa jaengi sukh jaenge samundar jab bhi bahar ke kabhi ghar mein mere hasraton ki machhliyan aa jaengi chilchilati dhup mein wo jab bhi aaenge nazar ek pal mein shahr mein phir sardiyan aa jaengi aankh mein mahbub ki shiddat se dekho jhank kar shairi ki sab tumhein barikiyan aa jaengi yaad kar ke wasl ke pal kat lenge zindagi darmiyan jab bhi hamare duriyan aa jaengi asl mein to tab hi hoga 'shokh' us ka imtihan samne jab pyar ke majburiyan aa jaengi