ab aa bhi jao ki sham-o-sahar khule hue hain

By adnan-asarJanuary 18, 2025
ab aa bhi jao ki sham-o-sahar khule hue hain
tumhaare waste aankhon ke dar khule hue hain
wo mahtab abhi tak nahin khula hum par
abhi to rang bahut mukhtasar khule hue hain


khule hue hain jahanon ke dar usi jaanib
tere jamal ke daftar jidhar khule hue hain
tu mere samne aaya to aise lagta hai
hazaron aaine pesh-e-nazar khule hue hain


unhen samajhne mein ye masala bhi hai darpesh
wo log mujh pe bahut mukhtasar khule hue hain
utha raha hun main lazzat safar ki har lamha
mere wujud pe kitne safar khule hue hain


sazaen sahne se darte nahin hain ahl-e-junun
hamari jaan pe wahshat ke dar khule hue hain
qafas se dekh rahe hain bas aasman 'adnan'
parind qaid hain aur baal-o-par khule hue hain


wo mere pas bhi hai aur pas hai bhi nahin
tazad kaise ye ‘adnan-asar' khule hue hain
29785 viewsghazalEnglish