ab aa gae ho to raftagan ko bhi yaad rakhna bichhadte lamhon ki dastan ko bhi yaad rakhna zamin pe apne qadam jama kar na bhul jaana saron pe thahre is aasman ko bhi yaad rakhna hawa-e-tishna ka chhin lena makin-e-jaan ko magar larazte hue makan ko bhi yaad rakhna sarab aakhir meri hi aankhon ka moajaza hai yaqin ki manzil mein is guman ko bhi yaad rakhna agarche khwahish ka aks lafzon mein aa gaya hai jo chashm-e-tar mein hai is zaban ko bhi yaad rakhna tujhe khabar hai ki ibtida bhi hai intiha bhi jahan-e-mani mein darmiyan ko bhi yaad rakhna kabhi jo aibon ke tir ghael karen nazar ko to khwahishon ki jhuki kaman ko bhi yaad rakhna