ab ada humse namaz-e-zindagi hoti nahin
By hairat-farrukhabadiOctober 31, 2020
ab ada hum se namaz-e-zindagi hoti nahin
dil jalane se bhi ab to raushni hoti nahin
zindagani is qadar be-kaif hai kuchh in dinon
un ke aa jaane se bhi ab to khushi hoti nahin
tez ho jati thi dhadkan aate hi tera khayal
nam tera sun ke bhi ab sansani hoti nahin
husn pe marti hai duniya jis pe aata hai zawal
hum se aisi chand roza aashiqi hoti nahin
yun to ho jati hain puri dhire dhire khwahishen
jis ki hum ko chah hai bas ek wahi hoti nahin
pyar jis ne jitna manga us ko itna de diya
kya khazana hai ki us mein kuchh kami hoti nahin
zabt-e-gham ki sarhadon ko hum ne 'hairat' chhu liya
gham hon chahe kitne aankhon mein nami hoti nahin

73371 viewsghazal • English