ab apne des ki aab-o-hawa hum ko nahin bhati ghulami ek zillat thi sarapa dard aazadi qayaadat karne walon ko masihai ka dawa tha kisi ne lekin ab tak qaum ki bidi nahin kati abhi tak panw se chimti hain zanjiren ghulami ki din aa jata hai aazadi ka aazadi nahin aati unhin aqwam ke rahm-o-karam par ab bhi jite hain ghurur-e-hurriyat ne jin se hasil ki thi aazadi baja-e-fikr-e-nau rajat-pasandi aam shewa hai haqiqat mein musalman har jagah hai kushta-e-mazi karachi mein muhajir aur inglistan mein kale teri taqdir mein 'jami' likhi hai khana-barbaadi