ab apni chikh bhi kya apni be zabani kya mahz asiron ki mahsur zindagani kya ruten jo tu ne utari hain khub hongi magar babul-sej pe sajti hai gul-fishani kya hai jism ek tazadat ke kai khane karega par inhen ek rang-e-asmani kya hazar karwaten jhankar hi sunati hain yun jhatpatane se zanjir hogi pani kya zamin ke aur taqaze falak kuchh aur kahe qalam bhi chup hai ki ab mod le kahani kya ana to qaid ki tashhir se gurezan thi pukar utthi magar meri be-zabani kya main khushk nakhl si jangal tawil tez hawa bikher degi mujhe bhi ye be-makani kya