ab bhi KHamosh agar ho to kahan bologe
By adnan-asarJanuary 18, 2025
ab bhi khamosh agar ho to kahan bologe
mujh ko lagta nahin tum haq ki zaban bologe
waqt ke sath ye luknat bhi chali jaegi
nam aaya wo zaban par to rawan bologe
tum ko ho jaegi jis roz mohabbat khud se
main na kahta tha ki tum khud ko jawan bologe
khilqat-e-shahr sunegi ye tumhaari baaten
khud hi ban jaega mahaul jahan bologe
sahib-e-‘ilm agar ho to kisi jahil se
baat karne ko bhi lamhon ka ziyan bologe
aur to kuchh nahin bas log hansenge tum par
thahre pani ko agar aab-e-rawan bologe
ai mere dost mujhe tum se ye ummid na thi
tum mere samne dushman ki zaban bologe

29020 viewsghazal • English