ab daur-e-asman hai na daur-e-hayat hai

ab daur-e-asman hai na daur-e-hayat hai
ai dard-e-hijr tu hi bata kitni raat hai

har kaenat se ye alag kaenat hai
hairat-sara-e-ishq mein din hai na raat hai

jina jo aa gaya to ajal bhi hayat hai
aur yun to umr-e-khizr bhi kya be-sabaat hai

kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-khudi
khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai

hasti ko jis ne zalzala-saman bana diya
wo dil qarar pae muqaddar ki baat hai

ye mushagafiyan hain giran tab-e-ishq par
kis ko dimagh-e-kawish-e-zat-o-sifat hai

toda hai la-makan ki hadon ko bhi ishq ne
zindan-e-aql teri to kya kaenat hai

gardun sharar-e-barq-e-dil-e-be-qarar dekh
jin se ye teri taron bhari raat raat hai

gum ho ke har jagah hain za-khud raftagan-e-ishq
un ki bhi ahl-e-kashf-o-karamat zat hai

hasti ba-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin
phir kis liye ye fikr-e-qarar-o-sabaat hai

us jaan-e-dosti ka khulus-e-nihan na puchh
jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifat hai

yun to hazar dard se rote hain bad-nasib
tum dil dukhao waqt-e-musibat to baat hai

unwan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visal
bas fursat-e-hayat 'firaq' ek raat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close