ab dur talak yaad ka sahra hai nazar mein kuchh roz to rahna hai isi rahguzar mein hum pyas ke jangal ki kamin-gah se na nikle dariya-e-inayat ka kinara tha nagar mein kis ke liye hathon ki lakiron ko ubhaaren apna to har ek pal hai sitaron ke asar mein ab khwab bhi dekhe nahin jate ki ye aanhken bas jagti rahti hain tere saya-e-dar mein kis ke liye pairon ko aziyyat mein rakha jae khud dhund ke tanhai chali aai hai ghar mein phir zill-e-ilahi ke sawaron ki sada aai phir kaun hua morid-e-ilzam nagar mein 'qaisar' bhi salib apni uthae hue guzra kahte hain ki khuddar tha jine ke hunar mein