ab guzara nahin us shokh ke dar par apna jis ke ghar ko ye samajhte the ki hai ghar apna kucha-e-dahr mein ghafil na ho paband-e-nashist rahguzar mein koi karta nahin bistar apna gham-zada uth gae duniya hi se hum aakhir aah zanu-e-gham se wa-lekin na utha sar apna dekhen kya lahja-e-hasti ko ki jun aab-e-rawan yan thaharna nazar aata nahin dam bhar apna gar malun main kaf-e-afsos to hansta hai wo shokh hath mein hath kisi shakhs ke de kar apna wae qismat ki rahe log bhi us pas na wo zikr late the kisi dhab se jo akasr apna zabah karna tha to phir kyun na meri gardan par zor se pher diya aap ne khanjar apna nim bismil hi chale chhod ke tum kyun pyare zor ye tum ne dikhaya hamein jauhar apna kya karen dil jo kahe mein ho to hum ai 'jurat' na kahin jaen ki hai sab se bhala ghar apna