ab har ek khair mein maujud hai shar ki surat bais-e-fakhr hua aib hunar ki surat milti-julti hai khandar se mere ghar ki surat chhat hai angnai si diwar hai dar ki surat zindagi khatm hui aur ye hasrat hi rahi dil ki qimat bhi lagata koi sar ki surat rah takte hain ki guzrega idhar se koi aur aankhen hain ki hain sham-e-sahar ki surat tum meri zat se mayus na hona hargiz main dabi rakh se ubhrunga sharar ki surat hijr mein hum pe jo guzre hai bayan se hai baid kash ye ho ki udhar bhi ho idhar ki surat hum to is darja mohazzab bhi na the ai 'afzal' aise nikle the ki phir dekhi na ghar ki surat