ab is ke baad koi rasta nahin

By abdurrahman-mominMay 19, 2024
ab is ke ba'd koi rasta nahin
main kah chuka hun aap ne suna nahin
ab aise shakhs ka karen to kya karen
jo tujh ko jaanta hai manta nahin


hamara masala ye zindagi hai dost
ye sha'iri hamara masala nahin
jo mere sath sath chal raha tha wo
main ruk gaya to ek pal ruka nahin


mera nahin hua ye aur baat hai
ye aur baat hai wo bewafa nahin
wo samne se ja chuka to ye khula
wo khwab lag raha tha khwab tha nahin


31056 viewsghazalEnglish