ab is se milne ki ummid kya guman bhi nahin zamin gai to gai sar pe aasman bhi nahin bujha bujha sa hai dil ka alaw barson se kisi ki yaad ka aankhon mein ab dhuan bhi nahin nai sadi ke safar mein bhi hum akele hain hawa ke dosh pe khushbu ka karwan bhi nahin tumhin batao yahan kis tarah jien hum log tumhaare shahar mein ghazlon ki ek dukan bhi nahin gharon mein sahm ke baithe hue hain sab bachche samundaron pe kahin ret ka makan bhi nahin is ehtiyat se aankhon mein kaun aaya tha subut ke liye palkon pe ek nishan bhi nahin ek aise raaz ki manind ji raha hun 'shakil' ki jis ka mere siwa koi raaz-dan bhi nahin