ab jo mil jao to kami na karun

By yusuf-zafarMay 21, 2021
ab jo mil jao to kami na karun
shikwa kaisa ki baat bhi na karun
kya khabar kaise naqsh ubhar aaen
abhi sine mein raushni na karun


hai wafa shart un ki baat rahe
apne dil ki kahi suni na karun
zikr un ka bhi chhid na jae kahin
chup rahun apna zikr bhi na karun


zindagi hai to hai khayal un ka
khair chahun to yaad bhi na karun
un ka milna muhaal hai lekin
apne dil se to dushmani na karun


kitni suni hai rah-e-zist 'zafar'
kya karun un ko yaad hi na karun
52930 viewsghazalEnglish