ab kahan aur kisi chiz ki ja rakkhi hai

By January 1, 2017
ab kahan aur kisi chiz ki ja rakkhi hai
ab kahan aur kisi chiz ki ja rakkhi hai
dil mein ek teri tamanna jo basa rakkhi hai
sar-ba-kaf main bhi hun shamshir-ba-kaf hai tu bhi
tu ne kis din pe ye taqrib utha rakkhi hai


dil sulagta hai tere sard rawayye se mera
dekh ab barf ne kya aag laga rakkhi hai
aaina dekh zara kya main ghalat kahta hun
tu ne khud se bhi koi baat chhupa rakkhi hai


jaise tu hukm kare dil mera waise dhadke
ye ghadi tere ishaaron se mila rakkhi hai
mutmain mujh se nahin hai jo raiyat meri
ye mera taj rakha hai ye qaba rakkhi hai


gauhar-e-ashk se khali nahin aankhen 'anwar'
yahi punji to zamane se bacha rakkhi hai
79969 viewsghazalEnglish