ab ke bhi sair bagh ki ji mein hawas rahi apni jagah bahaar mein kunj-e-qafas rahi main pa-shikasta ja na saka qafile talak aati agarche der sada-e-jaras rahi lutf qaba-e-tang pe gul ka baja hai naz dekhi nahin hai un ne teri choli chus rahi din-raat meri aankhon se aansu chale gae barsat ab ke shahr mein sare baras rahi khali shaguftagi se jarahat nahin koi har zakhm yan hai jaise kali ho box rahi diwangi kahan ki gareban se tang hun gardan meri hai tauq mein goya ki phans rahi jon subh is chaman mein na hum khul ke hans sake fursat rahi jo 'mir' bhi so yak-nafas rahi