ab khak to kiya hai dil ko jala jala kar karte ho itni baaten kyun tum bana bana kar aashiq ke ghar ki tum ne buniyaad ko bithaya ghairon ko pas apne har dam bitha bitha kar ye bhi koi sitam hai ye bhi koi karam hai ghairon pe lutf karna hum ko dikha dikha kar ai but na mujh ko hargiz kuche se ab uthana aaya hun yan talak main zalim khuda khuda kar deta hun main idhar ji apna tadap tadap kar dekhe hai wo udhar ko aankhen chura chura kar koi aashna nahin hai aisa ki ba-wafa ho kahte ho tum ye baaten hum ko suna suna kar jalta tha sina mera ai shama tis pe tu ne duni lagai aatish aansu baha baha kar ek hi nigah kar kar sine se le gaya wo har-chand dil ko rakkha hum ne chhupa chhupa kar jurat ne aakhir apne ji ko bhi ab ganwaya in be-murawwaton se dil ko laga laga kar